Abrar bhai singing live. Heartfelt!
View the link for video:
http://www.facebook.com/video/video.php?v=10150211874775451&ref=mf
Sar Utha Kay Shehar Main
Chalnay Ka Mausam Aa Gaya
Aao Kay Mausam Badal
Denay Ka Mausam Aa Gaya
Aao Zara
Dosto
Aao Zara
Dho Raha Tha Kal Jisay
Apnay Phatay Kurtay Kay Saath
Dho Raha Tha Kal Jisay
Apnay Phatay Kurtay Kay Saath
Aaj Woh Bacha Ussi Gaadi
Kay Neechay Aa Gaya
Socho Zara
Dosto
Aao Zara
Aao Jhaadu Cheen Layn
In Nannay Haathon Say Kay Ab
Haath Main Inkay Qalam
Denay Ka Mausam Aa Gaya
Kab Talak Kaagaz Chunain
Koochon Kay Ganday Dhair Say
Komplon Kay Phoolnay
Phalnay Ka Mausam Aa Gaya
Aao Zara
Socho Zara
Gair Muslim Ho Kay Muslim
Sab Ka Apna Ghar Hai Yeh
Sab Nay Jeena Bhi Hai
Marna Bhi Hai Is Aaghosh Main
Woh Jo Nafrat Daaltay Hain
In Dilon Main Jaan Layn
Woh Jo Nafrat Daaltay Hain
In Dilon Main Jaan Layn
Un Saron Ki Fasl Jhuk
Jaanay Ka Mausam Aa Gaya
Aao Zara
Dosto
Aao Zara
Maa’n Hai
Beti Hai
Bahu Hai
Behan Hai
Beewi Hai Yeh
Aaj Yeh Khush Rang Rishtay
Kyun Paresha’n Ho Gaye
Jiss Say In Rishto’n Main Qayem
Ho Mohabbat Ki Fiza
Jiss Say In Rishto’n Main Qayem
Ho Mohabbat Ki Fiza
Aaj Say Woh Pyar
Barsanay Ka Mausam Aa Gaya
Aao Zara
Dosto
Aao Zara
Kya Humara Farz Hai
Khaali Tamasha Dekhna
Kya Humain Har Waqt Karna
Hai Gila Sarkar Say
Aao Milkar Baant Layn
Jurm-e-Zareefi Ki Saza
Aao Milkar Baant Layn
Jurm-e-Zareefi Ki Saza
Aur Layn Badlay Main Hum
Laakhon Karodon Ki DUa
Aao Zara
Dosto
Socho Zara
Sar Utha Kay Shehar Main
Chalnay Ka Mausam Aa Gaya
Aao Kay Mausam Badal
Denay Ka Mausam Aa Gaya
Aao Zara
Dosto
Aao Zara





